Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Ehsaas Ki Khushboo
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
thumb coming soon
1.00 - 1 votes
Ghazals
Video of the song from youtube
Video of this song is not available at any authorized channel at YouTube right now or the channel is not allowing embedding on our website.

We will add as soon as the video of the song is available.

Lyrics of Purana Yaar - पुराना यार जब मिलता हैं कोई पूछ लेता हूँ

purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
watan mein woh jo kachcha ghar tha mera
ab woh kaisa hain
purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
watan mein woh jo kachcha ghar tha mera
ab woh kaisa hain
purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon

wo sab mitti ki deeware zara jo sar se unchi thi
kahin aadi kahin tirchhi ke jo bilkul na sidhi thi
thi un par ek chhat lohe ke be tip patron ki
woh patre aandhiyaan chalti toh
aksar udd bhi jaate they
kabhi woh tut jaate they
kabhi woh tut jaate they kabhi woh mud bhi jaate they
naya ghar jaa nikal aata thaa baarish ke zamane mein
ke ghehne maa ke beek jaate they
us mausam suhaane mein
purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon

woh kachcha ghar hi tha apni zameen aur aasmaan apna
ke jiski dhool mitti mein basaa thaa ek jahaan apna
use maa lipati thi pot-ti thi aur sajati thi
use maa lipati thi pot-ti thi aur sajati thi
ke kachche ghar ko woh nadaan ek jannat banati thi
ke ek jannat banati thi
purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon

mohabbat thi use us ghar ke ek ek zarre zarre se
mohabbat thi use us ghar ke ek ek zarre zarre se
ki jiski dhool mein ek roz woh bhi ho gayi mitti
zanaja jab utha toh sab daro deewar roye the
mila ek umra ka banvaas mujhko apne us ghar se
jahaan bachpan guzara kat gaya rishta usi dar se
woh kachcha ghar azizo ne mere ab bech daala hain
khuda jaane wahaa kya ho gaya
kya hone wala hain, kya hone wala hain

purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon
watan mein woh jo kachcha ghar tha mera
purana yaar jab milta hain koi puchh leta hoon



Singer: Pankaj Udhas, Pooja Gaitonde
Lyricist: Aalok Shrivastav, Zameer Kazmi
Music Director: Ali - Ghani
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy