Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Nigaah-E-Naaz Ke Maaro Ka Haal Kya Hoga - निगाह-ए-नाज़ के मारों का हाल क्या होगा
ada bijli, badan shola
ada bijli, badan shola, bhanve khajar, nazar qaatil
galat kya hai hame kahti hai ye duniya agar qaatil
to phir nigaah-e-naaz ke, nigaah-e-naaz ke
nigaah-e-naaz ke, nigaah-e-naaz ke
nigaah-e-naaz ke maaro ka haal kya hoga
nigaah-e-naaz ke maaro ka haal kya hoga
nigaah-e-naaz ke
nigaah-e-naaz ke maaro ka haal kya hoga
na bach sake to, na bach sake to
na bach sake to, na bach sake to
na bach sake to bechaaro ka haal kya hoga
na bach sake to bechaaro ka haal kya hoga
kya hoga, kya hoga
nigaah-e-naaz ke maaro ka haal kya hoga
na bach sake to bechaaro ka haal kya hoga
kya hoga, kya hoga
nigaah-e-naaz ke
hami ne ishq ke qaabil bana diya hai tumhe
hami ne ishq ke qaabil bana diya hai tumhe
hami ne ishq ke, hami ne ishq ke
hami ne ishq ke qaabil bana diya hai tumhe
hami ne ishq ke qaabil bana diya hai tumhe
hami na ho to, hami na ho to
hami na ho to, hami na ho to
hami na ho to nazaaro kaa haal kya hoga
hami na ho to nazaaro kaa haal kya hoga
kya hoga, kya hoga
hami na ho to nazaaro kaa haal kya hoga
hamaare husn ki bijali, hamaare husn ki bijali
hamaare husn ki bijali chamakne vaali hai
hamaare husn ki bijali chamakne vaali hai
bijali chamakne vaali hai
hamaare husn ki bijali chamakne vaali hai
na jaane aaj, na jaane aaj, na jaane aaj
na jaane aaj, na jaane aaj, na jaane aaj
na jaane aaj hazaro kaa haal kya hoga
na jaane aaj hazaro kaa haal kya hoga
kya hoga, kya hoga
nigaah-e-naaz ke
bahaar-e-husn salaamat khiza se puchh zara
bahaar-e-husn salaamat khiza se puchh zara
khiza se puchh zara, khiza se puchh zara
bahaar-e-husn salaamat khiza se puchh zara
kya ke chaar din me, kya ke chaar din me
chaar din me, chaar din me, chaar din me
ke chaar din me bahaaro kaa haal kya hoga
ke chaar din me bahaaro kaa haal kya hoga
kya hoga, kya hoga
ke chaar din me
rang par naaz na kar kyo ki rag badal jaata hai
ye vo mahmaan hai jo aaj aata hai kal jaata hai
ishq par naaz kare koi to kuchh baat bhi hai
husn ka naaz hi kya, husn to dhal jaata hai
husn ka naaz hi kya, husn to dhal jaata hai
bahar-e-husn salaamat khizaa se puchh zara
kya ke chaar din me, kya ke chaar din me
ke chaar din me bahaaro kaa haal kyaa hoga
ke chaar din me
ham apne chehre se parda utha to de lekin
ham apne chehre se parda utha to de lekin
ham apne chehre se parda parda parda
ham apne chehre se parda parda parda
ham apne chehre se parda utha to de lekin
garib chaand, garib chaand, garib chaand
garib chaand, garib chaand, garib chaand
garib chaand-sitaaro kaa haal kya hoga
garib chaand-sitaaro kaa haal kya hoga
kya hoga, kya hoga
nigaah-e-naaz ke
muqaabala hai to phir der kya hai tir chala
muqaabala hai to phir der kya hai tir chala
muqaabala hai, muqaabala hai, muqaabala hai
muqaabala hai, muqaabala hai, muqaabala hai
Comments for lyrics of song "Nigaah-E-Naaz Ke Maaro Ka Haal Kya Hoga"
YADAVVIRENDRA555 on Thursday, July 05, 2012 what a great song. great faical expression by all artist and great meaning of the words. can not hear this type of song today . i love this song very much. want some made like this type of song.
Harsh Ronvelia on Friday, April 13, 2012 I wish there was more music like this nowadays...
snehal doshi on Friday, September 18, 2015 Na Sun ne walo ka Haal Kya hoga ??
Shamsher Singh Thind on Monday, November 14, 2011 One of best qawwaali ...
up_a_mango_tree on Sunday, April 29, 2012 absolutely fantastic : )