Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Main Hi Main Hoon
(jahaan koyi pohoncha nahi, main wahaan maujud hoon
jo mit nahi sakata kabhi aisa main vajud hoon) - (2)
saari dishaayein mujhase nikale, mujh tak aaye
najarein uthaake dekh lo
main hi main hoon har jagah - (4)
gurur bhrama guru vishnu, gurur devo maheshwara
guru sakshaat parbhram tasmayi shri guruvey namah
mujhamein main nahi, mera kuchh hai nahi
tujhase hi sab kuchh hai bas yahin ik sach hai
tu hi tu hi tu har jagah tu hi tu - (3)
(mujhamein hi jor hai mujhamein hi josh hai
mere shor ke aage duniya khaamosh hai) - (2)
main hoon sitaara sab ki najar mein
mera najaara najarein uthaake dekh lo
main hi main hoon - (4)
samandar ki gehraayi mein, ambar ki unchaai mein - (2)
ho maine tera aks hai dekha har shay ki parchhaayi mein
tu hi tu hi tu har jagah tu hi tu - (2)
(bas mera naam hai sab ki jubaan pe
banake main aasmaan chhaaya hoon jahaan pe) - (2)
saari hawaayein mere fasaane sabko sunaaye
najarein uthaake dekh lo
main hi main hoon har jagah - (2)
dekha dur tak khud mein, tere manjar hai mujhamein - (2)
jab tu hi tu mere andar chaaron taraf hoon main hi main
main hi main hi main har taraf main hi main - (2)
(sargam)