Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Yeh Raaste Hain Pyaar Ke
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
screen shot of song - Khoya Khoya Chaand Hai Kya Suhani Sham Hai
4.50 - 4 votes
Video of the song from youtube

Average Rating : 4.50
Total Vote(s) : 4
New Voting has been disabled for some time.






Lyrics of Khoya Khoya Chaand Hai Kya Suhani Sham Hai - खोया खोया चांद है, क्या सुहानी शाम है

khoya khoya chand hai, kya suhani shaam hai
honthon pe ek naam hai, naam hai tera
o janeja aaja na tadpa, o janeja aaja na tadpa
ho jan tere nam hai, ab tera ye kam hai
ya to mai ji lu jara, ya ke de du jaan
o janeja aaja na tadpa, o janeja aaja na tadpa

dhalaki dhalaki hai chunar, pyar se tu bekhabar
chhod duniya ki fikar, aaja aaja aa idhar
dhalaki dhalaki hai chunar, pyar se tu bekhabar
chhod duniya ki fikar, aaja aaja aa idhar
nam leke pyar ka, tu kadam apne utha
soch na anjam ka, hoga jo hoga
o janeja aaja na tadpa, o janeja aaja na tadpa ho

le le meri chahate, dil ko de de rahate
pyar ke hain raste, aa khuda ke vaste
le le meri chahate, dil ko de de rahate
pyar ke hain raste, aa khuda ke vaste
ishk hi to hai khuda, ishk se hai kyun juda
ishk pe duniya fida, sun le yeh sada
o janeja aaja na tadpa, o janeja aaja na tadpa
khoya khoya chand hai, kya suhani sham hai
honto pe ek nam hai, nam hai tera
o janeja aaja na tadpa, o janeja aaja na tadpa
aaja na tadpa, aaja na tadpa
aaja na tadpa, aaja na tadpa ho
aaja na tadpa, aaja na tadpa


lyrics of song Khoya Khoya Chaand Hai Kya Suhani Sham Hai

Comments for lyrics of song "Khoya Khoya Chaand Hai Kya Suhani Sham Hai"
MUSKAAN BARFI on Saturday, February 11, 2012
chor duniya ki tu fiker aa jaa aa jaa aa idhar naam le kar pyaar ka tu
qadam apne utha . soch na anjaam ka ho ga jo ho ga.
wowowoowowoowowowowo..le le meri chahtein dil ko de rahatein.pyaar ke
hain raste Aa khuda ke waste ...ishaq pe duniya fida sounn le yeh sadaa.
wah wah wah .. khoya khoya chand hai kiya suhani sham hai honton pe ek naam
hai naam hai tera. wah wah buht acha ..thumbps up. buht maza aya mujhy song
sounn kar lovely post . khosh rahoo aise hi share karty rehna. udit jee
rocks

MUSKAAN BARFI on Saturday, February 11, 2012
oh jaane jaan hum ko na tadpa. mera most fav song hia aur iss song mein
maduhri ne kiya dance kiya hia.. main ne tu iss song ki choreography bhi
bana dali aur apne khyalon mein sub dekh liya ke song mein kiya hona
chahiey tha lolz. wah wah wah oh udit jee aise naa tu gaaa lolzz... buht hi
khoobsurt snog hai. na jane oss time ke producers ko kiya problems thi jo
aise song movie se delete kar deity thy ... dimag thek nahin tha onn ka
tab.. chal Neela Hai na HUM KO SONG LA DEITA HIA SHABASH

Hunny Bunny on Friday, February 10, 2012
I was gonna say the same thing as shah , this version sounds better than
the one they used in the movie , loving it, especially the way udit sang
it, full masti k mood main gaya hehe , u said that these type of songs
depend on the mood of the person , but i say if sum1s mood is not so gud
and they listen to this , then foran acha ho jayega :P , fantastic upload ,
all stars for u~

420Shah4Punam on Saturday, February 11, 2012
pata nahi tujhe yeh song kyu acha nahi laga, tum jante ho ki mai kitna
sunti rehti hoon yeh song ? kyu ki mujhe bohat pasand hai yeh song takle.
yeh version sounds sirf better nahi hai saleeeeeee bohat better hai, haniya
ne thik kaha hai ki the way udit sang it, full masti k mood main gaya hai.
Udit toh mere king hai, kamal ka singer hai yaar. yeh song itna romantic
hai ki kya batao :) chal hatt takle, tujhe pata nahi kyu acha nahi laga.
All stars for u ***************************************

420Shah4Punam on Saturday, February 11, 2012
Hayeee jitna sunti hoon yeh song, Dil hi nahi bharti yaar, mazza aati hai
mujeh sunne mein.luv u udit ji. I wanted to upload this song lolzz chal
kam se kam tu toh upload kiya na :) thank u :)

View all 7 comments related to song Khoya Khoya Chaand Hai Kya Suhani Sham Hai - खोया खोया चांद है, क्या सुहानी शाम है


Film cast: Ajay Devgn, Madhuri Dixit, Preity Zinta
Singer: Asha Bhosle, Vinod Rathod, Alka Yagnik, Anuradha Paudwal, Kavita Krishnamurthy, Manohar Shetty
Lyricist: Mehboob Kotwal, Anand Bakshi
Music Director: Sanjeev Darshan, Adnan Sami
Film Director: Deepak Shivdasani
External Links: Yeh Raaste Hain Pyaar Ke at IMDB    Yeh Raaste Hain Pyaar Ke at Wikipedia
Watch Full Movie: Yeh Raaste Hain Pyaar Ke at YouTube    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy