Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Zindagi Aur Toofan
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
thumb coming soon
4.45 - 159 votes
Helen, Yogita Bali, Asit Sen
Video of the song from youtube

Lyrics of Ek Hasarat Thi Ki Aanchal Kaa Mujhe Pyaar Mile - एक हसरत थी कि आँचल का मुझे प्यार मिले

ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile
ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile
maine manzil ko talasha mujhe bazar mile
zindagi aur bata tera irada kya hai
ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile
maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

mujhko paida kiya sansaar me do laasho ne
mujhko paida kiya sansaar me do laasho ne
aur barbaad kiya qaum ke ayyaasho ne
tere daaman me bata maut se zyada kya hai
zindagi aur bata
zindagi aur bata tera irada kya hai
ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile
maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

jo bhi tasvir banata hu bigad jaati hai
jo bhi tasvir banata hu bigad jaati hai
dekhte-dekhte duniya hi ujad jaati hai
meri kashti tera tufaan se vaada kya hai
zindagi aur bata
zindagi aur bata tera irada kya hai
ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile
maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

tune jo dard diya uski qasam khaata hu
tune jo dard diya uski qasam khaata hu
itna zyada hai ki ehsaan se daba jaata hu
meri taqdir bata aur taqaaza kya hai
zindagi aur bata
zindagi aur bata tera irada kya hai
ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile
maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

maine jazbaat ke sang khelte daulat dekhi
maine jazbaat ke sang khelte daulat dekhi
apni aankho se mohabbat ki tijaarat dekhi
aisi duniya me mere vaaste rakha kya hai
zindagi aur bata
zindagi aur bata tera irada kya hai
ek hasrat thi ki aanchal ka mujhe pyaar mile
maine manzil ko talasha mujhe bazar mile

aadami chaahe to taqadir badal sakta hai
aadami chaahe to taqadir badal sakta hai
puri duniya ki vo tasvir badal sakta hai
aadami soch to le uska irada kya hai
aadami soch to le uska irada kya hai


lyrics of song Ek Hasarat Thi Ki Aanchal Kaa Mujhe Pyaar Mile

Comments for lyrics of song "Ek Hasarat Thi Ki Aanchal Kaa Mujhe Pyaar Mile"
Chawla Jasmeen Kaur on Monday, October 05, 2015
Here our dear LP used mukesh as this was an new hero and mukesh always
ready to do best he showed voice which SJ and KA used in sad songs and gave
it to this song and made it unique song

Chiman Jagani on Friday, October 21, 2011
Album: Zindagi Aur Toofan Year: 1975 Track: Ek Hasarat Thi Ki Aanchal Kaa
Mujhe Pyaar Mile Singer: Mukesh Album Star Cast: SanjayKhan RehanaSultan
Track Star Cast: Unknown

MyKaempfer on Friday, May 22, 2015
Please correct all the wrong information shared here. The song was written
by Ram Avtaar Tyaagi and composed by Laxmikant Pyarelal.

lksharma1974 on Saturday, April 09, 2011
We are in the team and we are 5 persons in the team our driver has this song in his pendrive and we listen this song reapetely and try to understand the meaning of this song because there is a mujhe paida kiya sansar ki do lashon ne we are seeing the difrent angle but now we are satisfy with the poet and realy a great song thanks for uploading and we proud on our old song

ashrafmmasood on Tuesday, April 26, 2011
kyaa baat hai yaar.

aadamii chaahe to taqadiir badal sakataa hai
puurii duniyaa ki wo taswiir badal sakataa hai

aadamii soch to le usakaa iraadaa kyaa hai
zindagii aur bataa terea iradaa kyaa hai.



View all 53 comments related to song Ek Hasarat Thi Ki Aanchal Kaa Mujhe Pyaar Mile - एक हसरत थी कि आँचल का मुझे प्यार मिले


Film cast: Sajid Khan, Yogita Bali, Anwar Hussan, Rehana Sultan, Mukri, Rakesh, Sanjay Khan
Singer: Asha Bhosle, Dilraj Kaur, Amit Kumar, Mukesh
Music Director: Laxmikant Kudalkar, Pyarelal
Film Director: U R Ishara, Umesh Mathur
Film Producer: Charu Mitra, Lalit Mohan
External Links: Zindagi Aur Toofan at IMDB    Zindagi Aur Toofan at Wikipedia
Watch Full Movie: Zindagi Aur Toofan at YouTube    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy