Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Kasam Bhawani Ki
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
screen shot of song - Ya Sahib-E-Quran
3.25 - 4 votes
Video of the song from youtube

Lyrics of Ya Sahib-E-Quran - या साहिब-ए-कुरान

allah allah allah allah
kya dar hai jo har sam musibat ka hai tufan
har jaan ka iman ka hai tu hi nigehvan
ya sahib-e-kuran ya sahib-e-kuran
kya dar hai jo har sam musibat ka hai tufan
har jaan ka iman ka hai tu hi nigehvan
ya sahib-e-kuran ya sahib-e-kuran

ramjan-e-mubarak hai ibadat ka mahina
libar mahino me hai rahmat ka mahina
roze ki mere laaj rahe shahe madina
dube na kahi mere ummido ka safina
tu rahmat-e-aalam hai tu rahmat-e-aalam hai
tu aawaz-e-khuda hai darbar me tere koi
chota na bada hai har darik tehjib me
jahir hai teri shan ya sahib-e-kuran
ya sahib-e-kuran

sartaj-e-haram shan-e-karam
fakr-e-risalat raushan hai falak aur
jami tere badaulat mashur jahan me hai
tere dar ki sakhawat
mujh banda-ae-aasi ki tere hath hai izzat
har rang me har nur me
ho har rang me har nur me tu jalwa numa hai
rutba tera aala hai tu mahbube khuda hai
irshad tere lab ka hai allah ka farman
ya sahib-e-kuran ya sahib-e-kuran

majhab hai tera kya tera deen wafa hai
nafrat ke andhero me ye ulfat ki sada hai
har jakhm ka marham hai ye har gam ki dawa hai
har pyas ko sairab kare ye wo ghata hai
auro ke dukho me jo auro ke dukho me jo
pareshan nahi hota wo naam se kuch bhi ho musalma nahi hota
is naam ka paigam ho hai khidmat-e-insa
ya sahib-e-kuran ya sahib-e-kuran
kya dar hai jo har sam musibat ka hai tufan
har jaan ka iman ka hai tu hi nigehvan
ya sahib-e-kuran ya sahib-e-kuran
ya sahib-e-kuran ya sahib-e-kuran
ya sahib-e-kuran ya sahib-e-kuran


lyrics of song Ya Sahib-E-Quran



Lyricist: Nida Fazli
Music Director: Usha Khanna
External Links: Kasam Bhawani Ki at IMDB    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy