Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.
Lyrics of Sathiya Sun Le Pukar - साथिया सुन ले पुकार
saathiya sun le pukaar, kitana karu main intejaar
saathiya sun le pukaar, kitana karu main intejaar
saathiya sun le pukaar
jamee bhi wahi hai wahi aasamaa hai
wahi hain najaare wahi to samaa hain
tu nahi to lage mujhko suni ye bahaar
jamee bhi wahi hai wahi aasamaa hai
wahi hain najaare wahi to samaa hain
tu nahi to lage mujhko suni ye bahaar
saathiya sun le pukaar, kitana karu main intejaar
saathiya sun le pukaar
lage fike fike ye phulo ko chehare
kahaa le gaye tum mere din sunahare
suna hai har chaman rut ne chhoda hai singaar
age fike fike ye phulo ko chehare
kahaa le gaye tum mere din sunahare
suna hai har chaman rut ne chhoda hai singaar
saathiya sun le pukaar, kitana karu main intejaar
saathiya sun le pukaar
kabhi din ye dubaa kabhi shaam aai
sahi rote rote teri judaai
kya karun aaye na mere dil ko karaar ho
jamaane se dar hain to fir tum na aana
mera naam lekar na mehandi rachaana
main jiyu na jiyu mera kya hai etabaar
saathiya sun le pukaar, kitana karu main intejaar
saathiya sun le pukaar, kitana karu main intejaar
saathiya sun le pukaar