Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Iski Topi Uske Sar
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
screen shot of song - Sabhi Ko Daulat Ka Chakkar
3.00 - 1 votes
Video of the song from youtube

Lyrics of Sabhi Ko Daulat Ka Chakkar - सभी को दौलत का चक्कर

sabhi ko daulat ka chakkar
chala rahe hai sab chakkar
fek rahe jaal sabhi
bane huye sab ghanchakkar
maal idhar kabhi maal udhar
hera pheri hai takkar
sach ki jhuth se hai takkar
iski topi uske sar
iski topi uske sar
iski topi uske sar
iski topi uske sar

baap hai gora beta kala
main kya karu
driver mem sahab leke bhaga
main kya karu
laila ne majnu ko mara
main kya karu
koi jeeta koi mara
main kya karu
plane gira aur do sau ludke
main kya karu
duniya me yaha jhagde tagde
main kya karu
andhe khele aankh michauli
main kya karu
uncle chup aunty badboli
main kya karu
are bhai sahab upar wala kidhar gaya
upar wala upar wala
chutti par gaya

duniya hai chalta hai jo hota hai hone de
char din ki zindagi hai
jo karna hai karne de, ye ye ye
duniya hai chalta hai jo hota hai hone de
char din ki zindagi hai
jo karna hai karne de, ye ye ye
ha yaha par hota roj ghotala
main kya karu
are bado bado pe case hawala
main kya karu
swami taantrik ka munh kala
main kya karu
dukhi ram ka hua diwala
main kya karu
are bhai sahab upar wala kidhar gaya
main bola na main bola na
upar wala gaya
chutti par gaya

duniya hai chalta hai jo hota hai hone de
char din ki zindagi hai
jo karna hai karne de, ye ye ye
dandiya raas me aag ka jhatka
main kya karu
dengu fever ne diya jhatka
main kya karu
tenant ban gaya ghar ka maalik?
main kya karu
adult film dekhne wale
main kya karu
bahu ko jinda saas jalaye
main kya karu
koi kisi ko jhat se giraye
main kya karu
hospital bane hai hotel
main kya karu
yaha par gunda raaj hai total
main kya karu
are upar wala kidhar gaya
main bola bahut bola
upar wala gaya
chutti par gaya

duniya hai chalta hai jo hota hai hone de
char din ki zindagi hai
jo karna hai karne de, ye ye ye
uncle aap apni tension bolte hai
meri bhi to tension suno
mummy gussa karti hai
main kya karu
school jana padta hai
main kya karu
subah subah uthna padta hai
main kya karu
nind bahut aati hai
main kya karu
uncle where's upar wala gone
baby baby upar wala gone
gone for very nice holiday chutti

duniya hai chalta hai jo hota hai hone de
char din ki zindagi hai
jo karna hai karne de, ye ye ye
duniya hai chalta hai jo hota hai hone de
char din ki zindagi hai
jo karna hai karne de, ye ye ye


lyrics of song Sabhi Ko Daulat Ka Chakkar



Film cast: Sharad Kapoor, Mukul Dev, Divya Dutta, Aruna Irani, Mukesh Rishi, Prem Chopra, Aroon Bakshi, Sunny Deol, Ghanshyam, Razzak Khan, Johny Lever, Nilofer, Rubina, Sudhir, Tina, Dinyar Tirandaz
Singer: Alka Yagnik, Abhijeet, Suchitra Krishnamoorthi, Udit Narayan, Anuradha Paudwal, Anu Malik, Jaswinder, Style Bhai
Lyricist: Vishweshwar Sharma, Faiz Anwar, Shyam Anuragi, Dev Kohli, Rani Malik
Music Director: Anu Malik
Film Director: Raju Mavani
Film Producer: Nitin Mavani
External Links: Iski Topi Uske Sar at IMDB    Iski Topi Uske Sar at Wikipedia
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy