Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Swades
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
screen shot of song - Pal Pal Hai Bhaari Wo Vipada Hai Aai
4.42 - 12 votes
Shahrukh Khan, Gayatri Joshi
Romantic Songs, Folk Songs, Raag Based Songs, Raga - Jaunpuri
Video of the song from youtube

Lyrics of Pal Pal Hai Bhaari Wo Vipada Hai Aai - पल पल है भारी वो विपदा है आई

pal pal hai bhaari woh bipta hai aayi
mohe bachaane ab aao raghuraayi
aao raghuveer aao, raghupati raam aao
more mann ke swaami, more shriraam aao
raam-raam japti hoon, sun lo meri raam aao
raam-raam japti hoon, sun lo meri raam ji
baje satya ka danka, jale paap ki lanka
issi shan tum aao, mukt karaao
sun bhi lo ab meri duhaai
pal pal hai bhaari woh bipta hai aayi
mohe bachaane ab aao raghuraayi

raam ko bhoolo ye dekho raavan aaya hai
phaili saari shristi par jiski chhaaya hai
kyu japti ho raam-raam tum kyu leti ho raam naam tum
raam-raam ka ratan jo tumne hai lagaaya
sita, sita tumne hai raam me aisa kya gun paaya
dil paayega unke gun ko ye kya, itne shabd hi kaha hai
pahonchega us shikhari ke kaun bhala mere raam ji jaha hai
jag me sabse uttam hai, mariyaada purushottam hai
sab se shaktishaali hai, phir bhi rakhte sayam hai par
unke sayam ki ab aane ko hai seema
raavan samay hai maang le kshama
baje satya ka danka, jale paap ki lanka
aaye raaja raam kare ham pranaam
sang laaye lakshman jaisa bhaai
pal pal hai bhaari woh bipta haiyaai
mohe bachaane ab aao raghuraayi

raam me shakti agar hai, raam me saahas hai jo
kyun hain aaye abhi tak woh tumhaari rakhsha ko
jinka varnan karne me thakti nahi ho tum yaha
ye bataao woh tumhaare raam hai is pal kaha
raam hriday hai me mere, raam bhi dhadhkan me hai
raam mere aatma me, raam hi jeevan me hai
raam har pal me hai mere, raam hai har swaas me
raam har aasha me meri, raam hi har aas me
raam hi toh karuna me hai, shaanti me raam hai
raam hi hai ekta me, pragati me raam hai
raam bas bhakto nahi shatru ke bhi chintan hai
dekh taj ke paap raavan, raam tere mann me hai
raam tere mann me hai, raam mere mann me hai
raam tere mann me hai, raam mere mann me hai
raam toh ghar ghar me har, raam har aangan me hai
mann se raavan jo nikaale, raam uske mann me hai
mann se raavan jo nikaale, raam uske mann me hai

pal pal hai bhaari woh bipta haiyaai
mohe bachaane ab aao raghuraayi
suno raamji aaye, gun raam ke gaaye
raaja raamchandra aaye, shri raamchandra aaye
raamji aaye, gun raam ke gaaye
shri raamchandra aaye ho
suno raamji aaye, gun raam ke gaaye
raaja raamchandra aaye, shri raamchandra aaye
raamji aaye, gun raam ke gaaye
shri raamchandra aaye ho


lyrics of song Pal Pal Hai Bhaari Wo Vipada Hai Aai

Comments for lyrics of song "Pal Pal Hai Bhaari Wo Vipada Hai Aai"
suneet18 on Tuesday, August 10, 2010
This is my one of favourite songs.. Everything words has deep meaning.. Best part is synchorinization between words and action..
Making me nostalgic--I remember Ram Lila of my home town..It is years since i haven't seen that.

MyShemmy on Saturday, November 27, 2010
One of my favorite song. Really beautiful lyrics with magical composition. Thx to Madhupamebala. And thumps up to bindhasguy for his excellent and true comment.

hermit846 on Sunday, October 17, 2010
One of the best compositions. Rarely get to such a great combination lyrics, music and choreography.

shilpa82494 on Monday, September 27, 2010
@rasbobbo that's terrible! i knew all the way upto the yuddha kanda, but i never knew he doubted her and exiled her afterwards! why would he think she would do such a thing, the poor woman was being held HOSTAGE for crying out loud! of course she could only love Ram and hate Ravanna, or else why would she be sitting in captivity singing his praises and waiting faithfully for him?? this was totally against her will, i don't understand why Ramji would suspect such a thing of her...

bindhasguy on Sunday, October 24, 2010
This is the bes example of communal harmony in our country.
"ram hi to karuna mein hai shaanti mein ram hai ram hi hai ekta main pragati mein ram hai"

Writen by-Javed Akhter.
Composed by-A.R Rahaman.
Pictured on by-Shahrukh Khan.


View all 86 comments related to song Pal Pal Hai Bhaari Wo Vipada Hai Aai - पल पल है भारी वो विपदा है आई


Film cast: Shahrukh Khan, Gayatri Joshi, Makrand Deshpande, Kishori Ballal, Lekh Tandon, Rajesh Vivek, Daya Shanker Pandey, Farrukh Jaffar, Vishnudutt Gaur, Raja Awasthi, Visshwa Badola, Bhim Vakani, Dilip Ambekar, Rajesh Balwani, Rahul Vohra, Bachan Pachehra, Peter Rawley, Master Smit Sheth
Singer: A R Rahman, Alka Yagnik, Ashutosh Gowariker, Baby Pooja, Hariharan, Kailash Kher, Madhushree, Master Vignesh, Sadhana Sargam, Udit Narayan, Vijay Prakash
Lyricist: Javed Akhtar
Music Director: A R Rahman
Film Director: Ashutosh Gowariker
Film Producer: Ashutosh Gowariker
External Links: Swades at IMDB    Swades at Wikipedia
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy