Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Samadhi
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
screen shot of song - Netaji Ka Jeevan Hai Balidan Ki Ek Kahani
4.30 - 10 votes
Video of the song from youtube

Lyrics of Netaji Ka Jeevan Hai Balidan Ki Ek Kahani - नेताजी का जीवन है बलिदान की एक कहानी

ho netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani
netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani
balidan hi balidan hai bachpan aur jawani
bachpan aur jawani balidan ki ek kahani
balidan ki ek kahani

oye bachpan hi se chanchal man me armano ka mela tha
choti si ek lehar thi dil me toofano ka rela tha
college me ustad jo tha vo tha london ka gora
are usne kaha college me ek din hindi kala log chichora
sher boss ka khun jo khola sher boss ka khun jo khola
gore ko ek chapat lagai naam kata college se lekin
hind ki laaj bachai netaji ka jivan hai balidan ki ek kahani
balidan hi balidan hai bachpan aur jawani
balidan ki ek kahani balidan ki ek kahani

maat pita ne samjhaya aur englishtan ko kiya ravana
bado ke aage boss na bole lekin baagi dil na mana
yurop me ics ke imtihan ko paas kiya
are itna ucha ohda pakar deshbakht ne chhod diya
fir hindsutan me aakar pehle ghandi ko parnaam kiya
ghandi ko parnaam kiya ghandi ko parnaam kiya
vo desh ki seva ka bapu se pehla pehla sabak liya
pehla pehla sabak liya pehla pehla sabak liya
bharat ke dukh dard ko socha samjha aur pehcahana
kamar band kar ran me aaya aajadi ka diwana
aajadi ka diwana aajadi ka diwana kiya angrejo ne ye aid
kare is baagi ko ab kaid kuchal dale masal dale
kuchal dale masal dale

magar bachpan se jo baagi ho
vo julm se darna kya jane jalne se kab gabrate hai
shama vatan ke parvane jiski rag rag me shole ho
vo kya samjhe chingari ko hathkadiyo ko janjiro ko
jelo ki char diwari ko kadam kadam par mushkil aayi
lekin sher sada lalkara rah nahi sakta gair ke bas me
hidustan hamara rah nahi sakta gair ke bas me
hidustan hamara rah nahi sakta gair ke bas me
hidustan hamara

sarkar ne kar dali najar band jaban band
maidan ke jo mard hai hote hai kaha band
ek raat ko chupke hi se gum ho gye neta
shor hua subah kaha kho gaye neta
janta bhi thi hairan to sarkar bhi hairan
ud jane se bulbul ke tha saiyad pareshan
lekin mata ko ye ummid thi laut aayega beta
mata se kahe bina kaha jayega beta
is aas me darwaje bhi ghar ke na kiya band
aa jayega aa jayega vo laal vo parjand
us maa se badi maa hai jo hindustan hai
vo chodd gaya maa ko badi maa ko chudane
is hind ki bigdi hui takdeer banane

badal sakani besh chala pardes chhod kar desh hamara neta
badal sakani besh chala pardes chhod kar desh hamara neta
aazadi ki nayi ladai ladne hamaara neta
hindustan se kabul me aur kabul se london me
chalte chalte pahuch gaya vo singapur ke ran me
kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya
kom ki ye fauj ka naya tarana ban gaya
ek ek tinka chuna aur aashiyana ban gaya
jai gandhi jai subhash jai gandhi jai subhash
jai hind jai hind jai hind jai hind jai hind


lyrics of song Netaji Ka Jeevan Hai Balidan Ki Ek Kahani

Comments for lyrics of song "Netaji Ka Jeevan Hai Balidan Ki Ek Kahani"
Sayan Kundu on Saturday, September 29, 2012
"One individual may die for an idea; but that idea will, after his death, incarnate itself in a thousand lives. That is how the wheel of evolution moves on and the ideas and dreams of one nation are bequeathed to the next'"

Netaji Subhash Chandra Bose



Film cast: Ashok Kumar, Nalini Jaywant, Shyam, Kuldip Kaur, Harjeet Kumar, Sandhya, Shashi Kapoor, Mubarak
Singer: Lata Mangeshkar, Amirbai Karnataki, Chitalkar, Shamshad Begum
Lyricist: Rajendra Krishan
Music Director: C Ramchandra
Film Director: Ramesh Saigal
External Links: Samadhi at IMDB    Samadhi at Wikipedia
Watch Full Movie: Samadhi at YouTube    Samadhi at YouTube    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy