Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Khan Dost
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
thumb coming soon
4.00 - 2 votes
Video of the song from youtube

Lyrics of Har Saal Humne To Suna Charcha - हर साल हमने तो सुना चर्चा

jis din hum the aazad huye wo aazadi ka din aaya
aazad watan ki dharti pe aazad tiranga lahraya
aankho me aaj phir naach uthi tasveere amar shahido ki
aazad jeeyo aazad maro paigam ye unka aazad aaya

har saal humne to suna charcha isi paigam ka
charcha isi paigam ka charcha isi paigam ka
jis par amal na ho sake paigam wo kis kaam ka
paigam wo kis kaam ka paigam wo kis kaam ka
aazad hokar kya mila kya phul gulshan me khila
kayam hai hum par aaj bhi julmo sitam ka silsila
julmo sitam ka silsila julmo sitam ka silsila

ae apne lahu se sinch kar apne lahu se sinch kar
aazad gulshan kar diya ehsaan unka bhulkar
tum puchhte ho kya mila tum puchhte ho kya mila
jhuthe ho tum jhuthe hai hum kya dosh phir paigam ka
badnam kyu karte ho yaaro naam is paigam ka
ji naam is paigam ka jis par amal na ho sake
paigam wo kis kaam ka paigam wo kis kaam ka
paigam wo kis kaam ka ae ki bhul to payi saza
karte ho yaaro kyu gila hum jurm karna chhod de
to khatam ho ye silsila to khatam ho ye silsila

ae hey mujrim ye chhote kaid hai
hum kaid hai, hum kaid hai mujrim ye chhote kaid hai
jo hai bade aazad hai wo kis kadar khushhal hai
hum kis kadar barbad hai hum kis kadar barbad hai
hum kis kadar barbad hai anjam apna ye hua
un par laga iljam kya jis par amal na ho sake
paigam wo kis kaam ka paigam wo kis kaam ka
paigam wo kis kaam ka paigam wo kis kaam ka

der hai andher nahi pyare der hai andher nahi pyare
der hai andher nahi pyare jaisa karega waisa bharega
jaisa karega waisa bharega
waqt karega ek din sabka faisla re
der hai, der hai andher nahi pyare der hai andher nahi pyare

accha hua yaaro jo pakde gaye hum
thode dino ke hai apne to ye gham
humse to chhuta gunaho ka daman
apni to har din saza ho rahi kam
ise hankar gujar chahe rokar gujar
ise hankar gujar chahe rokar gujar
ye tujhpe hai chhoda tu jaise gujare
der hai, are der hai andher nahi pyare
der hai andher nahi pyare

uski najar se na kuch bhi chhupa re
kaise chhupenge gunhegar sare
ye to hai kudrat ka dastur pyare
julmo ki milti hai sabko saza re
yahi karle qubul tune ki hai jo bhul
yahi karle qubul tune ki hai jo bhul
yaha bach gaya to na waha bachega re
der hai, der hai andher nahi pyare
jaisa karega waisa bharega jaisa karega waisa bharega
waqt karega ek din sabka faisla re
der hai, are der hai andher nahi pyare der hai andher nahi pyare
der hai andher nahi pyare der hai andher nahi pyare


lyrics of song Har Saal Humne To Suna Charcha



Film cast: Raj Kapoor, Mithu Mukherjee, Shatrughan Sinha, Jagdeep, Yogita Bali, Asit Sen, Subhash Ghai, Satyen Kappu, Sulochana, Jagdish Raaj, Maruti, Rajan Haksar, Leela Mishra, Sunder, Prakash, Shekhar Purohit, Raj Rani, Sameer, Raja Duggal, Desai, Madhoo
Singer: Kishore Kumar, Anand, Manna Dey, Mahendra Kapoor
Lyricist: Anjaan, Indeevar
Music Director: Kalyanji Veerji, Anandji
Film Director: Dulal Guha
Film Producer: Pawan Kumar, Yogesh
External Links: Khan Dost at IMDB    
Watch Full Movie: Khan Dost at YouTube    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy