Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Comments on song from the movie Alam Ara
Search Film
Song Heading Singer Music By Lyricist Movie / Album Actor Category
Religious Songs
Video of the song from youtube

Average Rating : 3.95
Total Vote(s) : 37
Please rate this song between 1 star and 5 stars (5 stars being the best). Just move your mouse on the stars above and click as per your rating. Your rating will really help us to improve our website.






Comments for song "Suno Ramzan Ki Dastaan To Suno"
Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
Suno Ramzan ki daastan (tale) to suno, Rehmaton(blessings) ka bayan
(narration) hai bayan to suno, LaRka tha aik shehar mein jo husn be-misaal
(so cute), Kimsin(very young aged) tha jiski umar samjho keh saat saal,
Ramzan kay jo chaand pay uski nazar paRi, Uskay bhi dil mein rozay kii ek
aarzoo jagi, Roza rakhooN ga main bhi yeh maan baap say kaha, Sehri karoon
ga main bhi jagaa daina tum zara, Suno Ramzan ki dastan. LaRkay kii baat
sun lii magar kuchh nahin kaha, (Continued)

Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
LaRka subah utha to hua unsay woh khafa, Samjhaya maan nay baap nay, aye
meray gulsitaan, Roza nahin tujh pay abhi farz meri jaan, nanhay say dil ko
baat ka sadma baRa hua, Maan say kaha Qura'an mein kehta hai yeh Khuda,
Rozay kii bhook pyaas jo hasti uthaaye gii, Us rozay daar ko na yeh Dozakh
jalaaye gii, Quraan jismein utra suno woh mahina hai, Tauba qubool karta
Khuda woh mahina hai, Suno Ramzan ki daastan... Aayi jo sarr pay raat to
woh jaagta raha, (continued)

Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
Sehri bhi kar lii chupkay say khush ho kay so gaya, Utha subha to maan say
kaha sara maajrah, Maan baRay hii pyaar say phir us'say yeh kaha, "Roza na
rakh sakay ga yeh zid chhoR maan ja, Dai doon gii apna roza tujhay meray
dilruba." 'ToRoon ga na roza kabhi kuchh na khaaoon ga, Aakhir Khuda ko kis
tarah yeh munh dikhaaoon ga?" Maan nay kaha keh bhook lagi hogi laadlay,
garmi hai tujhko pyaas lagi hogi laadlay, Kehnay laga keh chahay zameen par
ho aaftab (Sun) (Continued)

Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
Paani ka aik qatrah bhi piina baRa azaab (punishment). Al-mukhtasar (To
make long story short) zohar (Second prayer) jo gayi aa gayi as'r (Third
prayer of the day) woh pyaas jaan lay gayii (thirst killed) pathraa
(immovable like stone) gayii nazar (eyes) Maan nai kaha keh hai mera laal
(precious son) chal diya (died) Iftaari (food for breaking fast) jo banayii
thii woh bhi na kha sakaa, Rozay ka waqt ho gayaa lekin kahan hai woh? Ab
to Khuda ki raah mein aakhir ravaan (going) hai woh... Cont.

Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
Itnay mein ek faqeer nai aakar yeh di sadaa, Main bhi hoon rozay daar
(Fasting) keh lay lo meri dua, Jo kuchh bhi paas ho mujhay khaana
khilaaiaye, Maatam yeh kaisa hai, zara itna bataaiaye, Aankhon say aansuoon
ka janazah guzar gaya, Maan baap donon bolay keh "Bacha hii mar gayaa!"
Bola faqeer mujhko Khda raa(For God sake) bataao tum, Laasha (Dead body)
kahan hai baitay ka mujhko dikhaao tum, Saayel (beggar) nay laash daikh kay
kya jaanay kya parha, Murday kay dil pay haath rakha aur di sadaa

Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
"Maasoom (Innocent) rozay daar keh ab roza khol tuu, kab tak yun chup rahay
ga zara munh say bol tuu." Itna hii sun kay bachay nay phir aankh khol dii.
Maan maamta ki maari thii us'say lipat gayii. Saayel nahin woh tha farishta
Khuda ka tha, bachay ko zindah kar kay jo rooposh (Vanished) Aati hai
imtakhan ki insaan pay ghaRi, Allah pay jaan day day woh marta nahin kabhi,
We are tested by God sometimes but who die for God they live forever! Thank
you all, ~~Shan~~

phirmilenge on Saturday, August 13, 2011
Sweet honey dipped pure innocent voice of God of music singing praise of
Almighty God...I always love and enjoy so much when Rafi saab sings
inspirational and spirutual songs...Unmatched ultimate sweet genius singer
who will live forever through all the gems he left for music lovers.
Lajawab Be-misaal hain Rafi saab!

Rafiology on Saturday, August 13, 2011
@Pashon8man How nice! Shan, thank you so much for taking the time to write
the lyrics of this great devotional song. The meaning of certain words
helped me understanding it better. And what can one say about Rafi sahab's
singing. He sings every genre with par excellence! Thaks once again!

Rafiology on Saturday, August 13, 2011
@ekdesiandy Well said, dear!

sarah abbasi on Monday, August 15, 2011
Mashallah bohethi khoob ye dastaan meri ammi g ne sunai thi mujhe pachpen
main lakin ye kisi film main bhi maloom nahen tha.be shak Allah pak insaano
ko azmate zaroor hain lakin unki nakiyaan or duain kabhi bhi zaya nahen
jati jaise ke Allah pak ne us maan ki suni.Allah pak se dua hey ke is pak
maah main hum sab ki bhi sab duain kabool hoon(ameen)thank you so much bro
4 shairing this sweet dastan hamesha khush or abbad rahen(ameen)

Talat Sheikh on Tuesday, August 16, 2011
@Pashon8man Thank You so much Shan, to write the lyrics, its really a great
effort to understand more the meaning of Ramzaan and the devotion. You
really put a lot of time in to write word by word and the translations of
difficult urdu words. Very impressive. God Bless you. And Thanks Rafiology
to upload this beautiful devotional Islamic song of Mohammand Rafi Sahab,
all about Ramzaan Mubarak and its blessings.

DokhiDil01 on Tuesday, August 16, 2011
MaaaaShaAllah Ye Dastan bohat hi kamal or dil Ko dehla Dene wali hai or Ye
une ko liye hai jo Achye bhale ho k Roze nahi Rakhte hai, Dua hai k Jo Log
Roze Nahi Rakhte hai Allah une ko Raze Rakhne Ki Toufeq Ata Farmiye Or Ji
rakhte hai une ko Roze Qabool Hon, Ameeeeen,,,,,,My Eyes was full of tear's
this is so emotional and true feelings. Rafi Sb ny bohat hi Khooob andaz
mein Bayan Ki hai. MashaAllah, thank u so much for Sharing with me Lala
gee,

Pashon8man on Tuesday, August 16, 2011
@saraagas Dear S, First thank you for acknowledging my shared video. I was
inspired by this Ramzan Tale since my childhood and it has gone through
generations. I am so glad that you liked this video, adding lyrics made
that easier you to grasp the essence of the the story yet I do feel I
should close the gaps wherever they are left. Please feel free to mark
those ares and I will be more than happy to simplify that. You also have a
blessings of Almighty God throughout the year!

Pashon8man on Wednesday, August 17, 2011
@Bestwishes01 Azizah Sarah, Aapki Ammi jaan nay bohat achha kiya jo bacpan
se hii Ramza ki daastan se roo-shanaas kara diya aur aaj aapko apnay bhai
ke twasat say yeh bhi maaloom ho gaya hai keh yeh daastan kai ashron pehlay
Mohammad Rafi Saab nay sunane ki saadat hasil kii thii. You are very
welcome and I am glad you liked my shared video. Allah Karim aap sab ko
bhii khush-O-Khurram rahay Aameen! See you soon inhi qartaas par. Ma
Salaama!

Pashon8man on Wednesday, August 17, 2011
@tsheikh56 Sheikh Saab, Na tha kuchh to khuda tha, kuch na hota to khuda
hota. This what Ghalib said and I say, Na waaqif kahinSheikh Saab say agar
Shan hota, Koi na uska naam hota, kitna adhoora insan hota. Thank you for
your heartwarming comment and of course thanks to Rafiology for giving us
the platform to get together and enjoy the heart wrenching tale in the
sweet voice of Mohammad Rafi Saab.

Pashon8man on Wednesday, August 17, 2011
@ekdesiandy Sharma Jee, I seal every word you shifted here since I feel it
is straight from the core of your heart. Rafi Saab is great in any genre.
May Allah Karim bless his soul and also lead us towards salvation. Amen!

Pashon8man on Wednesday, August 17, 2011
@DokhiDil01 Zariyab bro, It is really great to see you here among us and
enjoying the Ramzan ki Daastan in the beautiful voice of Mohammad Rafi
Saab. I can understand how you felt while listening to this bayaan,
especially when mother cried out, "Hai mera laal chal diya, Iftaari jo
banai thii woh bhi na khaa sakaa." You are very welcome and stay blessed in
the Holy Month of Ramza!

Shaid Nawaz on Thursday, September 12, 2013
Subhaan Allah mashallah, woo rafi saab .Respects TO QADER KHAN FOR TEACHING
PEOPLE ARABICK AND QURAN HAZIF SINCE HE NOT BEAN IN HOLLYWOOD MOVIES FOR
THE LAST 10 YEARS. MAY ALLAH GRANT YOU JANAT

Arif Akhtar on Friday, June 19, 2015
Wah rafi sb aapne rula diya ek lajawab aawaz jiska koi saani nahin

19 comments related to song Suno Ramzan Ki Dastaan To Suno shown on 1 pages.


Film cast: Ajit, Nazma, Rajan Bala, Bhushan Tiwari, Mohan Choti, Bindu, Jairaj
Singer: Usha Mangeshkar, Suman Kalyanpur, Mohammed Rafi, Krishna Kalle, Chandrani Mukherjee, Mahendra Kapoor
Lyricist: Hasrat Jaipuri, Kaifi Azmi
Music Director: Iqbal Qureshi
Film Director: Nanubhai Vakil
Film Producer: Maftlal Shah
External Links: Alam Ara at IMDB    
Watch Full Movie: Alam Ara at YouTube    

Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy