Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Alam Ara
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
screen shot of song - Suno Ramzan Ki Dastaan To Suno
3.95 - 37 votes
Religious Songs
Video of the song from youtube

Lyrics of Suno Ramzan Ki Dastaan To Suno - सुनो रमजान की दास्ताँ तो सुनो

suno ramjan ki dasta to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
ladka tha ek sahar me jo husn bemisal
kamsin tha jiski umar thi samjho ki sat sala
ramjan ke jo chand pe uski najar padi
uske bhi dil me roze ki ek aarzu jagi
roza rakhunga mai bhi ye ma bap se kaha
sahri karunga mai bhi jaga dena tum jara
suno ramjan ki dasta to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
rahmato ka baya hai baya to suno

ladke ki bat sunli magar kuch nahi kaha
ladka subah utha to hua unse wo khafa
samjhaya ma ne bap ne aye mere gulshita
roza nahi hai farz abhi tujhpe meri ja
nanhe se dil ko bat ka sadma bada hua
maa se kaha kuran me kahta hai ye khuda
roze ke bhukh pyas jo hasti uthayegi
us rozedar ko na ye to jakh jalayegi
kuran jisme utra suno wo mahina hai
tauba kabul karta khuda wo mahina hai
suno ramjan ki dasta to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
rahmato ka baya hai baya to suno

aayi jo sar pe rat to wo jagta raha
shahri bhi karli chupke se khush hoke so gaya
utha subah to maa se kaha sara majra
maa ne bade hi pyar se usse ye kaha
roza na rakh sakega ye jidd chhod maan ja
de dungi apna roza tujhe mere dilruba
todunga mai na roza kabhi kuch na khaunga
akhir khuda ko kis tarah ye muh dikhaunga
maa ne kaha ki bukh lagi hogi ladle
garmi hai tujhko pyas lagi hogi ladle
kahne laga ki chahe jami par ho aftab
pani ka ek katra pina bada azab
suno ramjan ki dasta to suno
rahmato ka baya hai baya to suno
rahmato ka baya hai baya to suno

almukta sar jo gayi aa gayi asar
wo pyas jaan le gayi pathra gayi najar
maa ne kaha ki haye mera lal chal diya
iftari jo banai thi wo bhi na kha saka
roze ka waqt ho gaya lekin kaha hai wo
ab to khuda ki rah me aakhir rawa hai wo
itne me ek fakir ne aakar ye di sada
mai bhi hu rozedar ki lelo meri dua
jo kuch bhi paas ho mujhe khana khilayiye
matam ye kaisa hai jara itna batlayiye
aankho se aasuo ka janaza gujar gaya
maa bap dono bole ki bacha hi mar gaya

bola fakir ki mujhko khudara batao tum
lash kaha hai bete ka mujhko dikhao tum
sahil me lash dekh ke na jane kya padha
murde ke dil pe hath rakha or di sada
masum rozedar ki ab roza khol tu
kab tak yu chup rahega jara muh se bol tu
itna hi sunke bache ne fir aankh khol di
maa mamta ki mari thi usse lipat gayi
sahil nahi tha wo farishta khuda ka tha
bache ko jinda karke jo rupesh ho gaya
aati hai insan pe imtiha ki ghadi
allah pe jan de de wo marta nahi kabhi
marta nahi kabhi marta nahi kabhi marta nahi kabhi


lyrics of song Suno Ramzan Ki Dastaan To Suno

Comments for lyrics of song "Suno Ramzan Ki Dastaan To Suno"
Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
Itnay mein ek faqeer nai aakar yeh di sadaa, Main bhi hoon rozay daar
(Fasting) keh lay lo meri dua, Jo kuchh bhi paas ho mujhay khaana
khilaaiaye, Maatam yeh kaisa hai, zara itna bataaiaye, Aankhon say aansuoon
ka janazah guzar gaya, Maan baap donon bolay keh "Bacha hii mar gayaa!"
Bola faqeer mujhko Khda raa(For God sake) bataao tum, Laasha (Dead body)
kahan hai baitay ka mujhko dikhaao tum, Saayel (beggar) nay laash daikh kay
kya jaanay kya parha, Murday kay dil pay haath rakha aur di sadaa

Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
Paani ka aik qatrah bhi piina baRa azaab (punishment). Al-mukhtasar (To
make long story short) zohar (Second prayer) jo gayi aa gayi as'r (Third
prayer of the day) woh pyaas jaan lay gayii (thirst killed) pathraa
(immovable like stone) gayii nazar (eyes) Maan nai kaha keh hai mera laal
(precious son) chal diya (died) Iftaari (food for breaking fast) jo banayii
thii woh bhi na kha sakaa, Rozay ka waqt ho gayaa lekin kahan hai woh? Ab
to Khuda ki raah mein aakhir ravaan (going) hai woh... Cont.

Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
Suno Ramzan ki daastan (tale) to suno, Rehmaton(blessings) ka bayan
(narration) hai bayan to suno, LaRka tha aik shehar mein jo husn be-misaal
(so cute), Kimsin(very young aged) tha jiski umar samjho keh saat saal,
Ramzan kay jo chaand pay uski nazar paRi, Uskay bhi dil mein rozay kii ek
aarzoo jagi, Roza rakhooN ga main bhi yeh maan baap say kaha, Sehri karoon
ga main bhi jagaa daina tum zara, Suno Ramzan ki dastan. LaRkay kii baat
sun lii magar kuchh nahin kaha, (Continued)

Pashon8man on Tuesday, August 16, 2011
@saraagas Dear S, First thank you for acknowledging my shared video. I was
inspired by this Ramzan Tale since my childhood and it has gone through
generations. I am so glad that you liked this video, adding lyrics made
that easier you to grasp the essence of the the story yet I do feel I
should close the gaps wherever they are left. Please feel free to mark
those ares and I will be more than happy to simplify that. You also have a
blessings of Almighty God throughout the year!

Pashon8man on Saturday, August 13, 2011
Sehri bhi kar lii chupkay say khush ho kay so gaya, Utha subha to maan say
kaha sara maajrah, Maan baRay hii pyaar say phir us'say yeh kaha, "Roza na
rakh sakay ga yeh zid chhoR maan ja, Dai doon gii apna roza tujhay meray
dilruba." 'ToRoon ga na roza kabhi kuchh na khaaoon ga, Aakhir Khuda ko kis
tarah yeh munh dikhaaoon ga?" Maan nay kaha keh bhook lagi hogi laadlay,
garmi hai tujhko pyaas lagi hogi laadlay, Kehnay laga keh chahay zameen par
ho aaftab (Sun) (Continued)

View all 19 comments related to song Suno Ramzan Ki Dastaan To Suno - सुनो रमजान की दास्ताँ तो सुनो


Film cast: Ajit, Nazma, Rajan Bala, Bhushan Tiwari, Mohan Choti, Bindu, Jairaj
Singer: Usha Mangeshkar, Suman Kalyanpur, Mohammed Rafi, Krishna Kalle, Chandrani Mukherjee, Mahendra Kapoor
Lyricist: Hasrat Jaipuri, Kaifi Azmi
Music Director: Iqbal Qureshi
Film Director: Nanubhai Vakil
Film Producer: Maftlal Shah
External Links: Alam Ara at IMDB    
Watch Full Movie: Alam Ara at YouTube    
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy