Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Rubayee (Pankaj Udhas)
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
thumb coming soon
3.50 - 2 votes
Ghazals
Video of the song from youtube

Lyrics of Mujhse Mera Kya Rishta Hai - ईमान को बेकार ना कर दूँ या रब

imaan ko bekaar na kar du ya rab
is jeene ko dushwar na kar du ya rab
is khauf se har shaam ko pee leta hu
main khud se bhi inkaar na kar du ya rab

peene de mujhe bhar de mera paimana
duniya to hain ek uljha hua afsaana
jab tak mujhe maalum na ye ho jaaye
main aaya kahan se hu, kahan hain jaana

mujh se mera kya rishta hai
mujh se mera kya rishta hai
har ek rishta bhul gaya
itne aaine dekhe hain
apna chehra bhul gaya
mujh se mera kya rishta hai

ab to ye bhi yaad nahi hai
farq tha kitna dono me
ab to ye bhi yaad nahi hai
farq tha kitna dono me
us ki baatein yaad rahi
us ki baatein yaad rahi
aur uska lehja bhul gaya
itne aaine dekhe hain
apna chehra bhul gaya
mujh se mera kya rishta hai

pyasi dharti ke hothon per
mera naam nahi to kya
pyasi dharti ke hothon per
mera naam nahi to kya
main wo baadal ka tukda hu
main wo baadal ka tukda hu
jis ko dariya bhul gaya
itne aaine dekhe hain
apna chehra bhul gaya
mujh se mera kya rishta hai

duniya wale kuch bhi kahein
rashid apni majburi hain
duniya wale kuch bhi kahein
rashid apni majburi hain
uski gali jab yaad aayi hain
uski gali jab yaad aayi hain
ghar ka rasta bhul gaya
itne aaine dekhe hain
apna chehra bhul gaya
mujh se mera kya rishta hai
har ek rishta bhul gaya
mujh se mera kya rishta hai
har ek rishta bhul gaya
mujh se mera kya rishta hai


lyrics of song Mujhse Mera Kya Rishta Hai

Comments for lyrics of song "Mujhse Mera Kya Rishta Hai"
Pashon8man on Monday, May 16, 2011
What a beautiful haunting voice of the maestro Pankaj Udhas. Never heard
this song either. Mumtaz Rashid my favorite poet: Dard ki barish sahi
madham zara ahista chal Dil ki mitti hai abhi tak nam zara ahista chal Tere
milnay aur phir tere bichhar jane ke beech Fasla ruswai ka hai kam, zara
ahista chal Thank you Aarzoo for sharing this beautiful ghazal.



Singer: Pankaj Udhas
Lyricist: Mumtaz Rashid, Zafar Gorakhpuri
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy