Enter Search Text

Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Hungama - Live In Concert
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
thumb coming soon
3.33 - 3 votes
Ghazals
Video of the song from youtube

Lyrics of Main Naar Se Pee Raha Hun - ये इनायते गजब की ये बला की मेहरबानी

ye inaayate gazab ki ye bala ki meharbani

meri khair ye bhi puchhi kisi aur ki jubani
kabhi iltifaate paiham kabhi iltifaate paiham
kabhi mujhse badgumani
teri wo bhi meherbaani teri ye bhi meherbaani
guzar to jayegi guzar to jayegi tere baigar bhi
lekin bhut udaas bhut bekraar guzregi
main nazar se pee raha hoon ye samaa badal naa jaye

naa jhukao tum nigahein kahi raat dhal naa jaye

mere ashq bhi hain isme ye sharaab ubal naa jaye

mera jaam chhune wale tera hath jal naa jaye
mera jaam chhune wale tera hath jal naa jaye
main nazar se pee raha hoon ye samaa badal naa jaye
mere ashq bhi hain isme

ye alag baat hai saaki ki mujhe hosh nahi hosh nahi
ye alag baat hai saaki
ye alag baat hai saaki ki mujhe hosh nahi
warna main kuch bhi ahsaan faramosh nahi
main teri mast nigahi ka bharam rakh lunga
hosh aaya bhi to kah dunga mujhe hosh nahi
main nazar se pee raha hoon ye samaa badal naa jaye
mere ashk bhi hai isme isme mere ashk bhi hai
isme ye sharaab ubal na jaye
mera jaam chhune wale tera hath jal na jaye
main najar se pee raha hu ye samaa badal na jaye

meri zindagi ke maalik mere dil pe hath rakhna
meri zindagi zindagi meri zindagi ke malik
meri zindagi ke malik mere dil pe hath rakhna
tere aane ki khusi me mera dam nikal naa jaye

abhi raat kuch hai baaki naa utha nakaab saaki
abhi raat kuch hai baaki
abhi raat kuch hai baaki naa utha nakaab saaki
tera rind girte girte kahi fir sambhal naa jaye
tera rind girte girte kahi fir sambhal naa jaye
main nazar se pee raha hoon ye samaa badal naa jaye

mujhe phunkne se pahle mera dil nikal lena

ye kisi ki hai amanat kahi sath jal naa jaye

mujhe phunkne se pahle mujhe phunkne se pahle
mujhe phunkne se pahle mera dil nikal lena
mujhe phunkne se pahle mera dil nikal lena
ye kisi ki hai amanat kahi sath jal naa jaye
main nazar se pee raha hoon ye samaa badal naa jaye

isi khouf se nasheman naa bna saka mai anwar
isi khouf se nasheman nasheman
isi khouf se nasheman naa bna saka mai anwar
ki nigahe ahle gulshan kahi fir badal naa jaye
ki nigahe ahle gulshan kahi fir badal naa jaye
main nazar se pee raha hoon ye samaa badal naa jaye
naa jhukao tum nigahein kahi raat dhal naa jaye

lyrics of song Main Naar Se Pee Raha Hun

Singer: Ghulam Ali
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy