Enter Search Text




Popular Lists (Geetmala)
Binaca Geetmala Topper
Movie Summary
Blockbuster Movies
Blockbuster Movies 2
Blockbuster Movies 3
Lata - Madhubala
Lata - Nargis
Lata - Meena Kumari

Lata Mangeshkar
Mohd. Rafi
Kishore Kumar
Mukesh
Geeta Dutt
Talat Mahmood
Asha Bhosle
Manna Dey
Mahendra Kapoor
Kumar Sanu
Arijit Singh
Shreya Ghoshal

Hai Bahut Mashoor Yeh Kissa
Search Film
Thumb Song Heading Singer / Movie Music By / Lyricist Actor / Category
thumb coming soon
4.33 - 6 votes
Video of the song from youtube

Average Rating : 4.33
Total Vote(s) : 6
New Voting has been disabled for some time.






Lyrics of Hai Bahut Mashoor Ye Kissa - है बहुत मशहूर ये किस्सा उम्र फारुख का

hai bahut mashur ye kissa umar farukhh ka
aaj bhi duniya me hai charcha umar farukh ka
jab khilafat ka saraf hasil hua farukh ko
momino ki fikar rahti thi sada farukh ko
kaam aate the har majbur ke hajrat umar
sok se karte the khud har ek ki khidmat umar
firte firte ek din panhuche umar ek ghar ke paas
dekhte kya hai waha baithi hai ek aurat udas
degchi chuhlepe pe thi aur ro rahe the uske lal
jab kiya hajrat umar ne ja ke aurat se sawal
ro rahe kis liye bachhe ye kya hai majra
bhukh se rote hai ye bachhe ye aurat ne kaha
bole hajrat degchi mein pak raha ho kya kaho
kis liye gamgin ho jo kuch bhi ho dukhda kaho

boli wo aurat ke pani se bahri hai degchi
kyuki main bachho ko bahlati hun is surat se hi
uth taraste hai ye bachhe dane dane ke liye
kuch nahi hai mere paas inko khilane ke liye
tisre din ka hai paka mere bachho pe hujur
mera koi bhi yaha walin nahi najdiko dur
roye usko dekh kar is haal mein hajrat umar
aa gaye foran bhige ulmaal mein hajrat umar
aata kapda ghee chhuware aur rakam le kar umar
gham jada aurat ke ghar ki sint daude jald tar

pith par dekha umar ke bojh to bola gulaam
bojh utha kar mujhko chalne dijiye ae nek naam
ye umar wo le agar ye bojh main de dun tujhe
hasar ke din kya saza de gaana jane rab mujhe
de diya dukhiya ko sab saman lakar aapne
aur khilaya sabko khud khana pakakar aapne
kha liya bachcho ne aur aurat ne khana jis ghadi
ho gaye hajrat umar khush dekh kar inki khushi
apko dekar duaaye phir ye aurat ne kaha
kaash mil jata koi humko khalifa aap sa
hum garibo ki umar koi khabar rakhte nahi
aish mein hai mast dukhiyo par najar rakhte nahi
le ke us dukhiyo ki baato ka asar hajrat umar
khamoshi se laut aaye apne ghar hajrat umar

subaha us aurat ko phir farukh ne bulwa liya
aur vajifa uska betul maali se jaari kiya
ho ke sharminda umar ne aurat se kaha
dukh bahut panhucha hai tumko meri gaflat se sada
tum mujhe kardo muaafit itni hai meri iltaza
tumjo mujhko baksh do to baksh de mujhko khuda
sari duniya mein hai charcha har kahi farukh ka
koi bhi insaaf mein saani nahi farukh ka


lyrics of song Hai Bahut Mashoor Ye Kissa



Singer: Mukesh
Lyricist: Shabab Minai
Music Director: Iqbal
Mobile (Responsive) Version of this page
FAQ / Help | Disclaimer | Privacy Policy